Monday, March 10, 2014

DHOONDTA HAI MAN MERA Lyrics - Satyamev Jayate 2 (Episode 2: Police)

Dhoondta Hai Man Mera Lyrics from Satyamev Jayate 2nd Season: This song is from Aamir Khan's Satyamev Jayate 2's 2nd episode "Police Reform" (9th March 2014). The song is sung & composed by Ram Sampath.

Song Title: Dhoondta Hai Man Mera
From: Satyamev Jayate 2 (Episode 2: Police)
Singer/Composer: Ram Sampath
Lyrics: Suresh Bhatia
Music Label: YRF Music
Dhoondta Hai Man Mera Lyrics
Dhoondta hai man mera
Yaar woh saathi sakha
Mujhe bin kahe jo yeh bol de
Tujhe fiqr kya, main hoon khada

Dhoondta hai man mera
Mera shehar ho ya gaanv ho
Mehfooz dhoop aur chhanv ho
Baadal hate ye zulm ke
Wahaan aisa pehredaar ho
Zindagi ka raasta darr ke rang, na ho ranga
Waar mujh par jo koi kare
Ik haath ho aage badha

Dhoondta hai man mera
Yaar woh saathi sakha
Mujhe bin kahe jo yeh bol de
Tujhe fiqr kya, main hoon khada
Ho.. Dhoondhta hai man mera

Aye dost mere soch tu
Darr se hai kab khaan dil jude
Zameen sani ho khauf se
Tab ugti hai sirf nafratein
Meethi hongi boliyan
Badlega jab man tera
Chhant jaayengi udaasiyaan
Khushiyon se hoga dil bhara

Dhoondta hai man mera
Yaar woh saathi sakha
Mujhe bin kahe jo yeh bol de
Tujhe fiqr kya, main hoon khada
Ho.. Dhundta hai man mera

BEKHAUF LYRICS - Satyamev Jayate 2 (Episode 1: Fighting Rape)

Bekhof / Bekhauff / Bekhauf Lyrics from Satyamev Jayate 2nd Season: Bekhauf Azad is the song for Aamir Khan's Satyamev Jayate 2's 1st episode "Fighting Rape". The song is sung by Sona Mohapatra, composed by Ram Sampath with lyrics written by Svati Chakravarty.

Song Title: Bekhauff
From: Satyamev Jayate 2 (Episode 1: Fighting Rape)
Singer: Sona Mohapatra
Music: Ram Sampath
Lyrics: Svati Chakravarty
Bekhauff Lyrics
Deewarein oonchi hai, galiyaan hai tang
Lambi dagar hai par himmat hai sang
Paaon pe chhaale hai, saansein buland
Ladne chali hoon aazaadi ki jung

Bekhauf aazaad hai jeena mujhe
Bekhauf aazaad hai rehna mujhe
Bekhauf aazaad hai jeena mujhe
Bekhauf aazaad hai rehna mujhe

Reeti ki zanjeere kha gayi zang
Nyaay ke mandir bhi ho gaye bhang
Zamaana chale na chale mere sang
Bolungi halla, awaaz dabangg

Bekhauff azaad hai kehna mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe
Bekhauff azaad hai kehna mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe

Chotein jism par marham umang
Laash nahi hoon mann zinda patang
Dil mein ummeedein or khushiyon ke rang
Har aansu banega ik nayi tarang

Haan.. bekhauf azaad hai behna hai mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe
Bekhauff azaad hai behna hai mujhe
Bekhauff azaad hai rehna mujhe

Deewarein oonchi hain, galiyaan hain tang
Lambi dagar hai par himmat hai sang
Paaon pe chhaale hai, saansein buland
Ladne chali hoon aazaadi ki jung

Bekhof azaad hai jeena mujhe
Bekhof azaad hai rehna mujhe
Bekhof azaad hai jeena mujhe
Bekhof azaad hai rehna mujhe